mere lab tak jo na aai wo dua kaisi thi
jaane is rah mein marzi-e-KHuda kaisi thi
jis ko hangama-e-hasti ne ubharne na diya
jis ko hum sun nahin pae wo sada kaisi thi
mera aaina-e-ehsas shikasta tha agar
surat-e-haal meri tu hi bata kaisi thi
ab jo aazad hue hain to KHayal aaya hai
ki hamein qaid bhali thi to saza kaisi thi
lahlahata tha mere dil ka ilaqa 'rahi'
jaane us waqt yahan aab-o-hawa kaisi thi
Ghazal
Mere lab tak jo na aai wo dua kaisi thi
Ghulam Murtaza Rahi