mere karobar mein sab ne baDi imdad ki
dad logon ki gala apna ghazal ustad ki
apni sansen bech kar main ne jise aabaad ki
wo gali jannat to ab bhi hai magar shaddad ki
umr bhar chalte rahe aankhon pe paTTi bandh kar
zindagi ko DhunDne mein zindagi barbaad ki
dastanon ke sabhi kirdar kam hone lage
aaj kaghaz chunti phirti hai pari baghdad ki
ek sulagta chiKHta mahaul hai aur kuchh nahin
baat karte ho 'yagana' kis aminabaad ki
Ghazal
Mere karobar mein sab ne baDi imdad ki
Rahat Indori