mere jaisa is duniya mein ho sakta hai kaun
jaise main ne KHud ko Dhoya Dho sakta hai kaun
dhul jate hain ek din aaKHir jaise bhi hon dagh
man ka mail aur maili chadar dho sakta hai kaun
pura chand aur jagmag tare yaadon ki baraat
is mausam mein maKHmal par bhi so sakta hai kaun
KHwabon ki ek basti jis mein sab hon KHush-auqat
is basti ko aasani se kho sakta hai kaun
miTTi ka pani se rishta shayad hai kamzor
warna kisht-e-jaan mein kanTe bo sakta hai kaun
Ghazal
Mere jaisa is duniya mein ho sakta hai kaun
Amjad Shahzad