mere honTon ka abhi zahar tere jism mein hai
tu agar bichhDa to kya chain se rah paega
ai suKHan-fahm mere sher se kya lagta hai
kya mere baad mujhe yaad rakha jaega
main to is shauq mein hota hun ki kuchh bolen log
bolna apna kabhi rang to dikhlaega
tu jo ab sath nahin hai to yahi lagta hai
ab KHuda bhi to mere kaam nahin aaega
jo bhi kahna hai yahan jhuT ke andaz mein kah
sach agar tu ne kabhi bola to pachhtaega
Ghazal
Mere honTon ka abhi zahar tere jism mein hai
Waqar Khan