mere badan ki aag hi jhulsa gai mujhe
dekha jo aaina to hansi aa gai mujhe
meri numud kya hai bas ek tuda-e-siyah
kaundi kabhi jo barq to chamka gai mujhe
jaise main ek sabaq tha kabhi ka paDha hua
uTThi jo wo nigah to dohra gai mujhe
har subh main ne KHud ko ba-mushkil baham kiya
aai jo gham ki raat to bikhra gai mujhe
main dasht-e-arzu pe ghaTa ban ke chha gaya
garmi tere wajud ki barsa gai mujhe
ye fart-e-intizar hai ya shiddat-e-hiras
KHamoshiyon ki chap bhi chaunka gai mujhe
teri nazar bhi de na saki zindagi ka fan
marne ka khel sahal tha sikhla gai mujhe
Ghazal
Mere badan ki aag hi jhulsa gai mujhe
Nashtar Khaanqahi