mere baad aur koi mujh sa na aaya hoga
us ke darwaze pe ab tak mera saya hoga
jab bhi aaine ne munh us ko chiDhaya hoga
kaise KHwabon ki haqiqat ko chhupaya hoga
us ne bharpur nazar jis pe bhi Dali hogi
chand ne us ko kaleje se lagaya hoga
kis tarah qatl kiya hoga meri yaadon ko
kitni mushkil se mujhe us ne bhulaya hoga
jab chali hogi kahin baat kisi shair ki
us ke honTon pe mera nam to aaya hoga
jo mere bare mein sochega har ek pahlu se
wo mera apna nahin hoga paraya hoga
us ki palkon ka tabassum ye pata deta hai
us ne aankhon mein koi KHwab sajaya hoga
sochta hun ki wo insan ba-nam-e-hasti
kaise angaron ki barish mein nahaya hoga
zindagi us ki sulagta hua sahra hogi
jo teri aankhon pe iman na laya hoga
teri aankhon mein samaya hai jo rangon ki tarah
ho na ho mere KHayalat ka saya hoga
tum ne 'qaisar' mere ehsas ke virane mein
mere KHwabon ko taDapta hua paya hoga

Ghazal
Mere baad aur koi mujh sa na aaya hoga
Qaisar Siddiqi