mere alfaz mein asar rakh de
sipiyan hain to phir guhar rakh de
be-KHabar ki kahin KHabar rakh de
hasil-e-zahmat-e-safar rakh de
manzilen bhar de aankh mein us ki
us ke pairon mein phir safar rakh de
chand-lamhe koi to susta le
rah mein ek do shajar rakh de
gar shajar mein samar nahin mumkin
us mein saya hi shaKH-bhar rakh de
kal ke aKHbar mein tu jhuTi hi
ek to achchhi si KHabar rakh de
tu akela hai band hai kamra
ab to chehra utar kar rakh de

Ghazal
Mere alfaz mein asar rakh de
Sheen Kaaf Nizam