mera wahm-o-guman rahne de
sun mujhe be-zaban rahne de
dard-e-dil kaamran rahne de
ai mohabbat jawan rahne de
mujh mein unchi uDan rahne de
meri hasrat jawan rahne de
murda logon ki bastiyan viran
mere jazbon mein jaan rahne de
ja-ba-ja jama surajon ki bhiD
man ai aasman rahne de
ek chup si lagi hui achchhi
rahne de dastan rahne de
main bhi KHud ko bacha sakun KHud se
aisa harf-e-bayan rahne de
kaam banne lagen agar yunhi
sab ke sab ram ban rahne de
granth ek prem ka paDha mujh ko
aur kitabon ka gyan rahne de
aag mein jal raha hun barson se
ab mera imtihan rahne de
Ghazal
Mera wahm-o-guman rahne de
Vishal Khullar