mera tan sar se juda karte hi bekal ho gaya
wo adhura rah gaya aur main mukammal ho gaya
husn ki tawil mein bas itni tabdili hui
TaT ka TukDa tere shanon pe maKHmal ho gaya
pahle gahre paniyon mein us ki bud-o-bash thi
ab hawa ke dosh par aaya to baadal ho gaya
phul ki ek zarb se aansu nikal aae mere
ek halki baat ka ehsas bojhal ho gaya
waqt ki nabzon pe is ka hath bhi kamzor tha
sans ki raftar par main bhi musalsal ho gaya
is qadar manus thi KHilqat andhere se 'nasim'
raushni phuTi to sara shahr pagal ho gaya

Ghazal
Mera tan sar se juda karte hi bekal ho gaya
Naseem Abbasi