mera shikwa teri mahfil mein adu karte hain
us pe bhi sabr hum ai arbada-ju karte hain
mashq-e-bedad-o-sitam karte hain gar wo to yahan
hum bhi bedad o sitam sahne ki KHu karte hain
jaan hui hai nigah-e-nam pe un ki aashiq
chaak dil tar-e-nazar se jo rafu karte hain
be-sabaati chaman-e-dahr ki hai jin pe khuli
hawas-e-rang na wo KHwahish-e-bu karte hain
aaj shamshir ba-kaf nikle hain wo dekhiye tar
aab-e-shamshir se kis kis ke gulu karte hain
hai rachi jin ke dimaghon mein teri zulf ki bu
ambar o mushk ki kab bu ko wo bu karte hain
mushk o ambar ka unhen nam bhi lena hai nang
yar ki zulf-e-moambar ko jo bu karte hain
chaak karte hain gareban ko wahshat mein kabhi
chaak-e-dil mein kabhu naKHun ko faru karte hain
dekh sauda-zada-e-ulfat-e-KHuban ai 'aish'
wadi-e-ishq mein kya kya tag-o-pu karte hain
Ghazal
Mera shikwa teri mahfil mein adu karte hain
Aish Dehlvi