اردو हिंदी
Mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein | Shaahi Shayari
mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

Ghazal

Mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein

Zeb Ghauri

;

mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein
kuchh manzar main ne bhi banae banae hain manzar mein

puchho to zaKHmon ka hawala dena mushkil hai
itni be-tartibi si hai dil ke daftar mein

wo maujon ki tesha-zani se gunjti chaTTanen
wo patthar si raat ka Dhalna chand ke paikar mein

itna yaad hai jab main chala tha su-e-dasht-e-bala
maujen marta ek dariya bahta tha barabar main

chamak raha hai KHema-e-raushan dur sitare sa
dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein

'zeb' mujhe Dar lagne laga hai apne KHwabon se
jagte jagte dard raha karta hai mere sar mein