mera fan meri ghazal tera ishaara to nahin
husn tera isi parde mein KHud-ara to nahin
dam-e-zulmat bhi jo aankhon mein hai taswir-e-sahar
hath kuchh is mein bhi ai dost tumhaara to nahin
kakul-e-waqt mein suljhaw nazar aata hai
aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara to nahin
mere ehsas ki wadi mein shafaq si jhalki
mujh ko doshiza-e-fitrat ne pukara to nahin
daman-e-husn se kuchh aur sulag uThti hai
ishq ki aankh mein shabnam bhi sharara to nahin
manta hun ki kinare ki tamanna hai mujhe
main ne tufan se kiya phir bhi kinara to nahin
KHun-e-gulshan hai pas-e-parda-e-ailan-e-bahaar
dekhna ghuncha-e-nauras mein sharara to nahin
phir nae sar se par-o-baal mein jumbish si hui
nargis-e-shahid-e-gul ka ye ishaara to nahin
tham gai saut-e-jaras ruk gae rahbar ke qadam
kisi gum-karda-e-manzil ne pukara to nahin
main ne mana tere kuche mein qadam uTh na sake
zist ki dauD mein lekin kabhi haara to nahin
Ghazal
Mera fan meri ghazal tera ishaara to nahin
Mazhar Imam