mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha
warna aapas mein kahne-sunne ko jaane kya kya tha
mere andar se jo mujh mein dip jalane nikla tha
jaane kitni bar wo apne hi sae se uljha tha
is ghar ke chappe chappe par chhap hai rahne wale ki
mere jism mein mujh se pahle shayad koi rahta tha
koi pyasa mil jae to phir lahren le sakta hun
ab main gham se sukh gaya hun pahle main bhi dariya tha
Ghazal
Mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha
Aziz Bano Darab Wafa