اردو हिंदी
Mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt | Shaahi Shayari
mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt

Ghazal

Mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt

Mirza Ghalib

;

mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt
main gaya waqt nahin hun ki phir aa bhi na sakun

being kind at any time you please, you can call out for me
for I am not like time once past, again can never be

zoaf mein tana-e-aghyar ka shikwa kya hai
baat kuchh sar to nahin hai ki uTha bhi na sakun

of rival's taunts, in weakened state, why should complaints unfold
'tis merely talk and not my head which I cannot uphold

zahr milta hi nahin mujh ko sitamgar warna
kya qasam hai tere milne ki ki kha bhi na sakun

O tyrant, poison is not found, else for my sorrow's sake
is it a vow to never meet you that I cannot take?