mehnat koshish aur wafa ke KHugar zinda rahte hain
jin ko marna aa jata hai aksar zinda rahte hain
fitrat ki wusat hai kitni kaun kahan tak dekhega
aankhen mar jati hain lekin manzar zinda rahte hain
patthar marne wale ek din KHud patthar ho jate hain
rah-e-wafa mein jo sahte hain patthar zinda rahte hain
haq ki KHatir pesh karen jo apni jaan ka nazrana
zinda rahne walon se bhi baDh kar zinda rahte hain
ek din paida karte hain bhaunchaal ki surat jismon mein
lawe jazbon ke sine ke andar zinda rahte hain
jin ke dam se dharti raushan rashk-e-falak dikhlai de
aise insan aise mah-o-aKHtar zinda rahte hain
zulm ke sail-e-KHun mein ek din zalim bhi bah jata hai
lashkar mar jata hai aur behtar zinda rahte hain
aise logon ka mar jaana jine se bhi behtar hai
wo jo log 'munawar' sab se Dar kar zinda rahte hain
Ghazal
Mehnat koshish aur wafa ke KHugar zinda rahte hain
Munawwar Hashmi

