mazhaka aao uDaen ishq-e-be-buniyaad ka
ek juda madfan banaen tesha-e-farhad ka
wah-wah kya rang badla gulshan-e-ijad ka
saya-e-gul par guman hone laga sayyaad ka
bah chala hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yas
ye bhi ek dana hai mere KHirman-e-barbaad ka
kis nigah-e-garm se dekha hai us ne waqt qatl
aah ThanDi paD gai dam ghuT gaya fariyaad ka
ghuncha ghuncha KHauf se mujh ko nazar aaya qafas
patte patte par hua dhoka kaf-e-saiyaad ka
ye samajh lije kisi shaer ke dil ka TuTna
TuT jaana hai tilism-e-alam-e-ijad ka
ho na ehsas-e-asiri to rihai hai muhaal
aaise qaidi nam tak lete nahin miad ka
zoaf ki ye himmaten hain na-tawani ka ye zor
TukDe TukDe kar diya daman meri fariyaad ka
us suKHnawar se mujhe faiz-e-suKHan hai ai 'hafiz'
nam-e-nami hai girami jis jahan ustad ka
Ghazal
Mazhaka aao uDaen ishq-e-be-buniyaad ka
Hafeez Jalandhari