maza tha hum ko jo bulbul se du-badu karte
ki gul tumhaari bahaaron mein aarzu karte
maze jo maut ke aashiq bayan kabhu karte
masih-o-KHizr bhi marne ki aarzu karte
gharaz thi kya tere tiron ko aab-e-paikan se
magar ziyarat-e-dil kyunki be-wuzu karte
agar ye jaante chun chun ke hum ko toDenge
to gul kabhi na tamanna-e-rang-o-bu karte
yaqin hai subh-e-qayamat ko bhi subuhi-kash
uThenge KHwab se saqi subu subu karte
samajhiyo dar-o-rasan tar-o-sozan ai mansur
ki chaak par wo haqiqat ka hain rafu karte
na rahti yusuf-e-kanan ki KHubi-e-bazar
muqabla mein jo hum tujh ko ru-ba-ru karte
chaman bhi dekhte gulzar-e-arzu ki bahaar
tumhaari baad-e-bahaari mein aarzu karte
ajab na tha ki zamane ke inqalab se hum
tayammum aab se to KHak se wuzu karte
suragh umr-e-guzishta ka lijiye gar zauq
tamam umr guzar jae justuju karte

Ghazal
Maza tha hum ko jo bulbul se du-badu karte
Waqar Hilm Syed Naglavi