maza lams ka be-zabani mein tha 
ajab zaiqa KHush-gumani mein tha 
meri wusaton ko kahan jaanta 
wo mahw apni hi be-karani mein tha 
miTate rahe awwalin yaad ko 
ki jo naqsh tha naqsh-e-sani mein tha 
bahut der tak log sahil pe the 
safina mera jab rawani mein tha 
hamin se na aadab barte gae 
saliqa bahut mezbani mein tha 
mai-e-kohna mein tha nasha-dar-nasha 
magar jo maza taza pani mein tha 
hamein wo hamin se juda kar gaya 
baDa zulm is mehrbani mein tha 
safar mein achanak sabhi ruk gae 
ajab moD apni kahani mein tha
 
        Ghazal
Maza lams ka be-zabani mein tha
Mazhar Imam

