mayassar aaj sarokar se ziyaada hai
diye ki raushni miqdar se ziyaada hai
ye jhank leti hai andar se aarzu-KHana
hawa ka qad meri diwar se ziyaada hai
ghuTan se Darte main shahr-e-hawa mein aaya tha
magar ye tazgi darkar se ziyaada hai
yunhi main aankh se bahar nikal ke dekhta hun
mera qadam meri raftar se ziyaada hai
main roz ghar ki KHamoshi mein us ko sunta hun
jo shor raunaq-e-bazar se ziyaada hai
main muttaqi hun magar hausla gunahon ka
mere badan mein gunahgar se ziyaada hai
Ghazal
Mayassar aaj sarokar se ziyaada hai
Qasim Yaqub