mawad kar ke faraham chamakti saDkon se
saja raha hun ghazal ko nae KHayalon se
chhupi hai un mein na jaane kahan ki chiKH-pukar
buland hote hain naghme jo roz mahlon se
nazar na aai kabhi phir wo ganw ki gori
agarche mil gae dehat aa ke shahron se
guzar dete hain umren wo ghup-andheron mein
laTak rahe hain jo bijli ke unche khambon se
samundar ab tu unhen aur be-qarar na kar
guzar ke aai hain lahren hazar nahron se
tulu hoga abhi koi aaftab zarur
dhuan uTha hai sar-e-sham phir charaghon se
'hazin' ye shoala-e-taban kabhi nahin bujhta
main kyun hayat ko tashbih dun hababon se
Ghazal
Mawad kar ke faraham chamakti saDkon se
Hazin Ludhianvi