mauzu-e-suKHan himmat-e-ali hi rahegi
jo tarz nikalunga misali hi rahegi
ab mujh se ye duniya mera sar mang rahi hai
kambaKHt mere aage sawali hi rahegi
wo nashsha-e-gham ho ki KHumar-e-mai-e-pindar
dil walon ke chehre pe bahaali hi rahegi
ab tak to kisi ghair ka ehsan nahin mujh par
qatil bhi koi chahne wali hi rahegi
main lakh ise taza rakhun dil ke lahu se
lekin teri taswir KHayali hi rahegi
is dil pe Thaharne ka nahin 'zeb' koi naqsh
ye aankh kisi rang se KHali hi rahegi
Ghazal
Mauzu-e-suKHan himmat-e-ali hi rahegi
Zeb Ghauri