maut ne muskura ke puchha hai
zindagi ka mizaj kaisa hai
us ki aankhon mein meri ghazlen hain
meri ghazlon mein us ka chehra hai
us se puchho azab raston ka
jis ka sathi safar mein bichhDa hai
chandni sirf hai fareb-e-nazar
chand ke ghar mein bhi andhera hai
ishq mein bhi maza hai jine ka
gham uThane ka gar saliqa hai
chhoD zaKHmon pe tabsira karna
ab qalam se lahu Tapakta hai
raushni ki zaban mein 'dana'
wo charaghon se baat karta hai
Ghazal
Maut ne muskura ke puchha hai
Abbas Dana