maut ko zist tarasti hai yahan 
maut hi kaun si sasti hai yahan 
dam ki mushkil nahin aasan karte 
kis qadar uqda-parasti hai yahan 
sab KHarabe hain tamannaon ke 
kaun basti hai jo basti hai yahan 
chhoDo be-sarfa hain sawan bhadon 
dekho har aankh barasti hai yahan 
ab to har auj ka tara Duba 
auj ka nam hi pasti hai yahan
        Ghazal
Maut ko zist tarasti hai yahan
Mukhtar Siddiqui

