اردو हिंदी
Maut ke chehre pe hai kyun murdani chhai hui | Shaahi Shayari
maut ke chehre pe hai kyun murdani chhai hui

Ghazal

Maut ke chehre pe hai kyun murdani chhai hui

Hafeez Jalandhari

;

maut ke chehre pe hai kyun murdani chhai hui
dekhna kaun aa gaya kyun Tal gai aai hui

koi badli to nahin ubhri ufuq par dekhna
phir faza-e-tauba par hai be-dili chhai hui

sikh duniya hi mein zahid hur se milne ke Dhang
warna roega ki jannat mein bhi ruswai hui

KHana-e-dil mein kisi parda-nashin ki aarzu
aarzu kya hai dulhan baiThi hai sharmai hui

ishq hai apni wafaon se bhi sharmaya hua
aql hai apni KHataon par bhi itrai hui

kash is misra ka tum ko pas hota ai 'hafiz'
ye bahaar aai hui aisi ghaTa chhai hui