maut aai mujhe kuche mein tere jaane se
nind aa hi gai jannat ki hawa khane se
hun wo aashiq ki tah-e-qabr main jal jata hun
shama turbat par agar milti hai parwane se
qasd uThne ka qayamat ne kiya to ye kaha
lo ye sar chaDhne lagi panw ke Thukrane se
wasl ki shab na kar itna bhi hijab ai zalim
shoKHiyan tang hain teri tere sharmane se
koi hans hans ke sune aur main ro ro ke kahun
lutf donon ko mile dard ke afsane se
ghuncha chaTka koi gulshan mein to laila samjhi
mere majnun ne pukara mujhe virane se
rahe ranj o alam o wahshat o barbaadi o yas
ai junun koi na jae mere virane se
kis ko fursat thi par is tarah mein kuchh sher 'wasim'
kah liye hazrat-e-'naushad' ke farmane se

Ghazal
Maut aai mujhe kuche mein tere jaane se
Waseem Khairabadi