mausam ka zahr dagh bane kyun libas par
ye soch kar na baiTh saka sabz ghas par
muddat hui ki tair-e-jaan sard ho chuka
uDte rahe hawaon mein kuchh bad-hawas par
suraj ka phul abr ke patton mein gum raha
shab ke shajar ka saya raha mujh udas par
wo ja chuka hai moD se aankhen haTa bhi le
bekar honT sabt hain KHali gilas par
kaise nasib ho teri baaton ka zaiqa
ji aa gaya hai taza phalon ki miThas par
behtar hai KHud hi ajnabi ban kar use milen
ilzam aae kyun mere surat-shanas par
ehsas bhi na tha ki hai patthar mera badan
han Dubna paDa hai ubharne ki aas par
pani ko rokiye ki na honTon tak aa sake
beja na uzr aae kahin meri pyas par
ye karobar dard ka phir phailta gaya
kholi dukan thi zaKHm-e-hunar ki asas par
'shahid' hue hain dard ke shoalon se be-KHabar
chingari phenk dije hawa mein kapas par

Ghazal
Mausam ka zahr dagh bane kyun libas par
Saleem Shahid