اردو हिंदी
Mausam-e-gul mein hain diwanon ke bazar kai | Shaahi Shayari
mausam-e-gul mein hain diwanon ke bazar kai

Ghazal

Mausam-e-gul mein hain diwanon ke bazar kai

Wali Uzlat

;

mausam-e-gul mein hain diwanon ke bazar kai
shor-e-bulbul kai zanjir ki jhankar kai

sab gai bu-e-murawwat ki kal is bagh se haif
bare daman-kash-e-dil rah gae hain KHar kai

kab lag ahbab ka gham mujh ko dikhawega falak
KHak ho gae bahut aur hain so chalan-haar kai

ai siyah-chashmo nahin kuchh mujhe gulzar se kaam
dagh-e-lala hi se rakhta hun sarokar kai

saKHt yaron ki kudurat se hua hun be-dil
kha gae aaina-e-dil mera zangar kai

mausam-e-gul mein mere chaak-e-gareban ko dekh
phaD gae pairahan-e-sabr rafu-kar kai

din paDe shola-ruKHon bin mujhe jun dud-e-charagh
meri dil-sozi se jalte hain shab-e-tar kai

jaldi awwal ki hai par aabla panw mein mere
aur wo gul-ru ki rahe rah mein ab KHar kai

sard-mehri teri KHun garm hai az-bas mujh sat
hain rag-e-lal-e-jigar nala-e-KHun-bar kai