mausam-e-gul bhi mere ghar aaya
jaane wala na palaT kar aaya
aaj yun dil ne bahae aansu
aankh se ashk na bahar aaya
luT gai zabt ki basti aaKHir
teri yaadon ka jo lashkar aaya
aankh ab teri judai pe khuli
hosh mein tujh ko ganwa kar aaya
ek hi naqsh mein the naqsh tamam
samne phir na wo manzar aaya
dhup mein us ki mohabbat ka KHayal
abr jaise mere sar par aaya
kale dariya to kiye kitne ubur
rah mein ab ke samundar aaya
kaun karta meri rahen dushwar
aaDe aaya to muqaddar aaya
us ne phenka tha agar phul 'rashid'
phir ye kis samt se patthar aaya

Ghazal
Mausam-e-gul bhi mere ghar aaya
Rasheed Kamil