maujudgi ka us ki asar hone laga hai 
sab us ke siwa mahw-e-nazar hone laga hai 
atraf mere KHak uDa karti hai aksar 
tai ab meri jaanib bhi safar hone laga hai 
purkhon se chali aati hai ye naql-e-makani 
ab mujh se bhi KHali mera ghar hone laga hai 
jaldi se main ab us ki taraf ruKH nahin karta 
aaina mera sina-sipar hone laga hai 
tartib anasir ki bigaDne lagi shayad 
aalam mera ab zer-o-zabar hone laga hai 
ab sang-dili mujh se chhupae nahin chhupti 
aankhon se numudar sharar hone laga hai 
arsa koi darkar hua karta tha 'rahi' 
ab roz koi marka sar hone laga hai
 
        Ghazal
Maujudgi ka uski asar hone laga hai
Ghulam Murtaza Rahi

