maujud kuchh nahin yahan madum kuchh nahin
ye zist hai to zist ka mafhum kuchh nahin
manzar hijab aur hi kuchh manzaron ke hain
malum hum ko ye hai ki malum kuchh nahin
KHwab-o-KHayal samjhen to maujud hai jahan
kuchh bhi siwae nuqta-e-mauhum kuchh nahin
harf-o-bayan nazare sitare dil-o-nazar
har shai mein intishaar hai manzum kuchh nahin
jo mil gaya hai, jis ki hamein aarzu rahi
aur jis se KHud ko rakkha hai mahrum kuchh nahin
jis ke baghair ji nahin sakte the jite hain
pas tai hua ki lazim-o-malzum kuchh nahin
Ghazal
Maujud kuchh nahin yahan madum kuchh nahin
Ziyaul Hasan