اردو हिंदी
Mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna | Shaahi Shayari
mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna

Ghazal

Mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna

Sardar Saleem

;

mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna
muflisi mein doston ke sath rah ke dekhna

daman-e-izhaar mein jazbe sama sakte hain nahin
baat phir bhi baat hai ek bar kah ke dekhna

KHud ko miTTi ka gharaunda farz hi karna nahin
aandhiyon ki zad mein rahna aur Dhah ke dekhna

dil ke sannaTe mein KHushbu ke dariche khul gae
dastakon ke phul darwaze pe mahke dekhna

kasa-e-fitrat mein phir KHwahish ke sikke baj uThe
phir parinde sans ki Dali pe chahke dekhna

be-asar hi kyun na ho par apni zati soch ho
dosto taKHliq-e-fan ka karb sah ke dekhna

baadshahat ke maze hain KHaksari mein 'salim'
ye nazara yar ke kuche mein rah ke dekhna