mauj-e-sarsar ki tarah dil se guzar jaoge 
kis ko malum tha tum dil mein utar jaoge 
chaar-su waqt ki gardish ki fasil-e-shab hai 
bach ke is gardish-e-dauran se kidhar jaoge 
aaina-KHane se daman ko bacha kar guzro 
aaina TuTa to rezon mein bikhar jaoge 
ek zara aur qarib-e-rag-e-jaan aao to 
mere KHun-nab mein tum Dhal ke sanwar jaoge 
dekho wo chand sisakta hai ufuq ki had par 
tum bhi is chand ki manind guzar jaoge 
is bhari bazm se hans-bol ke ruKHsat ho lo 
kal jo uTThoge to ba-dida-e-tar jaoge
        Ghazal
Mauj-e-sarsar ki tarah dil se guzar jaoge
Gulam jilani Asghar

