اردو हिंदी
Mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye | Shaahi Shayari
mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye

Ghazal

Mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye

Shakeb Jalali

;

mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye
KHema-e-gul ke pas hi dajla-e-KHun bhi chahiye

kashmakash-e-hayat hai sada-dilon ki baat hai
KHwahish-e-marg bhi nahin zahr-e-sukun bhi chahiye

zarb-e-KHayal se kahan TuT sakengi beDiyan
fikr-e-chaman ke ham-rikab josh-e-junun bhi chahiye

naghma-e-shauq KHub tha ek kami hai mutriba
shola-e-lab ki KHair ho soz-e-darun bhi chahiye

itna karam to kijiye bujhta kanwal na dijiye
zaKHm-e-jigar ke sath hi dard-e-fuzun bhi chahiye

dekhiye hum ko ghaur se puchhiye ahl-e-jaur se
ruh-e-jamil ke liye haal-e-zabun bhi chahiye