mauj-e-KHayal-e-yar gham-e-asar aai hai
kyun chahaton ke bich ye diwar aai hai
ek bund hath aai hai patthar nichoD kar
aankhon se lab pe quwwat-e-izhaar aai hai
hum dushmanon mein apni zaban haar aae hain
jab hath kaT chuke hain to talwar aai hai
kyun aasman ne dast-e-tahi phir kiya daraaz
kyun dhup zer-e-saya-e-diwar aai hai
suraj jhulas gaya hai har ek shaKH-e-jism-o-jaan
din Dhal gaya to ghar mein shab-e-tar aai hai
be-saut tha 'mujibi' har ek naghma-e-KHayal
TuTa jo dil to saz ki jhankar aai hai
Ghazal
Mauj-e-KHayal-e-yar gham-e-asar aai hai
Siddique Mujibi

