mauj-e-hawa to ab ke ajab kaam kar gai
uDte hue parindon ke par bhi katar gai
aankhen kahin dimagh kahin dast o pa kahin
raston ki bhiD-bhaD mein duniya bikhar gai
kuchh log dhup pite hain sahil pe leT kar
tufan tak agar kabhi is ki KHabar gai
nikle kabhi na ghar se magar is ke bawajud
apni tamam umr safar mein guzar gai
dekha unhen to dekhne se ji nahin bhara
aur aankh hai ki kitne hi KHwabon se bhar gai
jaane hawa ne kan mein chupke se kya kaha
kuchh to hai kyun pahaD se naddi utar gai
suraj samajh saka na ise umr bhar 'nizam'
tahrir ret par to hawa chhoD kar gai
Ghazal
Mauj-e-hawa to ab ke ajab kaam kar gai
Sheen Kaaf Nizam