mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae
gil ho gae charagh gharaunde bikhar gae
peDon ko chhoD kar jo uDe un ka zikr kya
pale hue bhi ghair ki chhat par utar gae
yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare
hum to samajh rahe the sabhi zaKHm bhar gae
hum ja rahe hain TuTte rishton ko joDne
diwar-o-dar ki fikr mein kuchh log ghir gae
chalte huon ko rah mein kya yaad aa gaya
kis ki talab mein qafile wale Thahar gae
jo ho sake to ab ke bhi sagar ko lauT aa
sahil ke sip swاati ki bundon se bhar gae
ek ek se ye puchhte phirte hain ab 'nizam'
wo KHwab kya hue wo manazir kidhar gae
Ghazal
Mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae
Sheen Kaaf Nizam