mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sahar lagti hai
sar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti hai
hum ne har gam pe sajdon ke jalae hain charagh
ab hamein teri gali rahguzar lagti hai
lamhe lamhe mein basi hai teri yaadon ki mahak
aaj ki raat to KHushbu ka safar lagti hai
jal gaya apna nasheman to koi baat nahin
dekhna ye hai ki ab aag kidhar lagti hai
sari duniya mein gharibon ka lahu bahta hai
har zamin mujh ko mere KHun se tar lagti hai
koi aasuda nahin ahl-e-siyasat ke siwa
ye sadi dushman-e-arbab-e-hunar lagti hai
waqia shahr mein kal to koi aisa na hua
ye to aKHbar ke daftar ki KHabar lagti hai
lucknow kya teri galiyon ka muqaddar tha yahi
har gali aaj teri KHak-basar lagti hai
Ghazal
Mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sahar lagti hai
Jaan Nisar Akhtar