اردو हिंदी
Mauj-e-dariya ko piyen kya gham-e-KHamyaza karen | Shaahi Shayari
mauj-e-dariya ko piyen kya gham-e-KHamyaza karen

Ghazal

Mauj-e-dariya ko piyen kya gham-e-KHamyaza karen

Shamsur Rahman Faruqi

;

mauj-e-dariya ko piyen kya gham-e-KHamyaza karen
rag-e-afshurda-e-sahra mein lahu taza karen

dil ke mahbas mein karen zat ka matam kab tak
aao bahar to chalen waqt ka andaza karen

KHun hai ek daulat-e-dil luT hi len ahl-e-falak
chehra-e-dagh-e-qamar par to naya ghaza karen

ungliyan sard hain phunken to unhen hosh mein laen
apne sinon pe likhen harf-e-wafa taza karen

shisha tha ek gham-e-dil TuT ke sahil pe gira
muntashir ret ke har zarre ka shiraaza karen

gurg-e-ehsas se bachne ki to koi nahin rah
sag-e-taKHil pe band aankh ka darwaza karen