mauj-dar-mauj safinon se hai dhaara raushan
wo jo utra to hua shab ka kinara raushan
kya pata tere mere dasht se lauT aane tak
shahr-e-imkan ka rahega bhi nazara raushan
rasta koi zamin par nazar aae na sahi
aasman par hai magar ek sitara raushan
dasht-dar-dasht tere nur ke parkale the
samt-dar-samt hua mujh ko ishaara raushan
main ne kar di hai siyah aab-o-hawa-e-duniya
us ne aayat ki tarah mujh ko utara raushan
aag se bhi mujhe mahfuz wahi rakkhega
KHas-o-KHashak mein kar de jo sharara raushan

Ghazal
Mauj-dar-mauj safinon se hai dhaara raushan
Shafaq Sopori