اردو हिंदी
Mauj-dar-mauj safinon se hai dhaara raushan | Shaahi Shayari
mauj-dar-mauj safinon se hai dhaara raushan

Ghazal

Mauj-dar-mauj safinon se hai dhaara raushan

Shafaq Sopori

;

mauj-dar-mauj safinon se hai dhaara raushan
wo jo utra to hua shab ka kinara raushan

kya pata tere mere dasht se lauT aane tak
shahr-e-imkan rahega abhi sara raushan

rasta koi zamin par nazar aae na sahi
aasman par hai magar ek sitara raushan

dasht-dar-dasht tere nur ke par kale the
samt-dar-samt hua mujh ko ishaara raushan

main ne kar di hai siyah aab-o-hawa-e-duniya
us ne aayat ki tarah mujh ko utara raushan

aag se bhi mujhe mahfuz wahi rakkhega
KHas-o-KHashak mein kar de jo sharara raushan