matlab muamalat ka kuchh pa gaya hun main
hans kar fareb-e-chashm-e-karam kha gaya hun main
bas intiha hai chhoDiye bas rahne dijiye
KHud apne e'timad se sharma gaya hun main
saqi zara nigah mila kar to dekhna
kambaKHt hosh mein to nahin aa gaya hun main
shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap
mahfil mein is KHayal se phir aa gaya hun main
kya ab hisab bhi tu mera lega hashr mein
kya ye itab kam hai yahan aa gaya hun main
main ishq hun mera bhala kya kaam dar se
wo shara thi jise wahan laTka gaya hun main
nikla tha mai-kade se ki ab ghar chalun 'adam'
ghabra ke su-e-mai-kada phir aa gaya hun main
Ghazal
Matlab muamalat ka kuchh pa gaya hun main
Abdul Hamid Adam