mata-e-umr-e-guzishta sameT kar le ja
jo ho sake to mera dard apne ghar le ja
tu ja raha hai to meri sisakti aankhon se
sulagti sham pighalti hui sahar le ja
uchaTti aankhon se tahzib ka safar kaisa
tu apne-ap ko tariKH ke udhar le ja
huzur-e-dost ek aaina jagmagata hai
tu apni zat ka paikar tarash le kar le ja
sulag rahi hai teri yaad meri rag rag mein
ab apni yaad mere dil se chhin kar le ja
'asar' ke pas to kuchh bhi nahin hunar ke siwa
tu be-hunar hai to sarmaya-e-hunar le ja
Ghazal
Mata-e-umr-e-guzishta sameT kar le ja
Mohammad Ali Asar