اردو हिंदी
Mata-e-shauq to hai dard-e-rozgar to hai | Shaahi Shayari
mata-e-shauq to hai dard-e-rozgar to hai

Ghazal

Mata-e-shauq to hai dard-e-rozgar to hai

Arshi Bhopali

;

mata-e-shauq to hai dard-e-rozgar to hai
agar bahaar nahin ishrat-e-bahaar to hai

ada-e-chaak-e-gareban se ba-KHabar na sahi
junun-e-shauq ko farda ka eatibar to hai

taras rahe hain dil-o-jaan jo rang-o-bu ke liye
mere nasib mein ek dasht-e-intizar to hai

kahan nasib hawas ko junun ki aaraish
lahu lahu hai gareban tar tar to hai

in aablon ko hiqarat se dekhne wale
in aablon se chaman ka tere waqar to hai

hazar tarah se ruswa hain ahl-e-dard to kya
tera dayar to hai tera rahguzar to hai

hayat talKH sahi roz-o-shab haram sahi
dil-o-nazar ko ye mahaul sazgar to hai