اردو हिंदी
Mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai | Shaahi Shayari
mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai

Ghazal

Mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai

Saud Usmani

;

mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai
hawa ke ruKH pe na jaun to rasta kya hai

main zard bij hun aur sabz hona chahta hun
meri zamin teri miTTi ka mashwara kya hai

ye meri kaghzi kashti hai aur ye main hun
KHabar nahin ki samundar ka faisla kya hai

bikhar raha hun teri tarah main bhi ai zar-e-gul
so tujh se puchhta hun tera tajraba kya hai