maston pe ungliyan na uThao bahaar mein
dekho to hosh hai bhi kisi hoshyar mein
kuchh mohtasib ka KHauf hai kuchh shaiKH ka lihaz
pita hun chhup ke daman-e-abr-e-bahaar mein
wo samne dhari hai surahi bhari hui
donon jahan hain aaj mere iKHtiyar mein
allah baat kya hai ki diwangi meri
diwangi nahin nazar-e-hoshiyar mein
jhuTi tasalliyon se na bahlao jao jao
jao ki tum nahin ho mere iKHtiyar mein
hun wadi-e-hayat mein is tarah sust-e-gam
jaise ho pa-shikasta koi KHar-zar mein
ab wo sukun-e-yas na wo iztirab-e-shauq
sine mein dil hai ya koi lasha mazar mein
ab KHak uDaiye na hamare mazar ki
ab KHak bhi nahin hai hamare mazar mein
tanhai-e-firaq mein ummid bar-ha
gum ho gai sukut ke hangama-zar mein
wo andalib-e-gulshan-e-mani hun main 'hafiz'
soz-e-suKHan se aag laga dun bahaar mein
Ghazal
Maston pe ungliyan na uThao bahaar mein
Hafeez Jalandhari