masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai
so kar wo uTha kuchh yun leta hua angDai
pur-shauq nazar meri kuchh dekh ke lalchai
kuchh us ke ishaaron se wo hausla-afzai
yak-laKHt hue ruKHsat sab sabr-o-shakebai
taDpa gai jab aai us samt se purwai
kya us ka asar us par majma ho ki tanhai
diwana to diwana saudai to saudai
parwana hai diwana lau shama ki tharrai
kya rang-e-wafa lai ek pal ki shanasai
farhad gahe majnun ban kar yahan jab aae
rudad-e-junun hum ne har martaba dohrai
meri hi badaulat wo mashhur-e-do-alam hain
ruswai-e-ulfat ye un ke baDe kaam aai
pursan-e-alam hote rasman hi kabhi sahab
zahmat na gai itni bhi aap se farmai
ai baad-e-saba ja kar un se tu hi ye kah de
didar ka KHwahan hun milne ka tamannai
main chup hun magar kahiye kya haal hai ye aaKHir
mathe pe pasina hai aawaz hai bharai
bimar-e-mohabbat ka bas ab hai KHuda-hafiz
kaam aai masiha ki kuchh bhi na masihai
kya wo bhi zamana tha mearaj-e-mohabbat ka
din-raat dar-e-jaanan par nasiya-farsai
chahe jise de zillat chahe jise de izzat
rai ko kare parbat parbat ko kare rai
bas yunhi samjhe ab haal-e-dil-e-afsurda
chingari dahakti ek jis tarah ho kajlai
bazar-e-nigaran ka manzar wo are tauba
sanche mein Dhali har shai ek paikar-e-ranai
gardun pe mah-e-nau phir dikhlai diya 'mahir'
phir id-e-mubarak ki har-su se sada aai

Ghazal
Masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai
Maahir Balgiraami