اردو हिंदी
Mast-e-sahar o tauba-kunan sham ka hun main | Shaahi Shayari
mast-e-sahar o tauba-kunan sham ka hun main

Ghazal

Mast-e-sahar o tauba-kunan sham ka hun main

Sauda Mohammad Rafi

;

mast-e-sahar o tauba-kunan sham ka hun main
qazi ke giraftar nit ealam ka hun main

banda kaho KHadim ko chaakar kaho mujh ko
jo kuchh kaho so saqi-e-gulfam ka hun main

KHidmat mein mujhe ishq ki hai dil se iradat
ne mo'taqid-e-kufr na islam ka hun main

yak roz halal us ko bhi main kar ke na khaya
naukar jo KHarabaat mein do jam ka hun main

ne fikr hai duniya ki na din ka mutalashi
is hasti-e-mauhum mein kis kaam ka hun main

yak-rang hun aati nahin KHush mujh ko do-rangi
munkir suKHan-o-sher mein iham ka hun main

matlub-e-dua haq mein nahin apne kisu ki
talib lab-e-mahbub se dushnam ka hun main

banda hai KHuda ka to yaqin kar ki butan ka
banda ye jahan be-zar-o-be-dam ka hun main

hai shisha-e-mai ainak-e-piri mujhe 'sauda'
nazzara-kun ab sheb ke ayyam ka hun main