اردو हिंदी
Masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta | Shaahi Shayari
masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta

Ghazal

Masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta

Josh Malsiani

;

masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta
yani tera didar kabhi ho nahin sakta

main ghair-e-wafadar kabhi ho nahin sakta
is se tumhein inkar kabhi ho nahin sakta

ab lutf-o-karam par bhi bharosa nahin us ko
achchha tera bimar kabhi ho nahin sakta

use shaiKH agar KHuld ki tarif yahi hai
main is ka talabgar kabhi ho nahin sakta

aamal ki pursish na kare dawar-e-mahshar
majbur to muKHtar kabhi ho nahin sakta

mumkin hai farishton se koi sahw hua ho
main itna gunahgar kabhi ho nahin sakta

aazar-e-mohabbat hai aur aazar hai ai 'josh'
jo bais-e-azar kabhi ho nahin sakta