mashwara kis ne diya tha ki masihai kar
zaKHm khane hain to logon se shanasai kar
jeb KHali hai to kya dil se duaen denge
hum se durweshon ki nadan pazirai kar
phir nazar aaegi aasan ye duniya tujh ko
aankh se dekh magar dil ko tamashai kar
ghar mein mumkin hai magar dil mein na diwar uTha
faisla soch-samajh kar ye mere bhai kar
dudh ka dudh bhi aur pani ka pani hoga
ru-ba-ru baiTh ke baaten kabhi harjai kar
kaun deta hai yahan dad-e-suKHan ab 'faruq'
kyun jalata hai lahu qafiya-paimai kar

Ghazal
Mashwara kis ne diya tha ki masihai kar
Farooq Bakshi