masalon ki bhiD mein insan ko tanha kar diya
irtiqa ne zindagi ka zaKHm gahra kar diya
DeDh neze par Tange suraj ki aankhen noch lo
be-sabab dahshat-zada mahaul paida kar diya
fikr ki la-markaziyat jagti aankhon mein KHwab
ham-KHayali ne zamane bhar ko apna kar diya
ek shajar ko jism ki nam sabz-gahon ki talash
aur is tahrik ne jangal ko suna kar diya
KHun ki surKHi safedi ki tarah mahw-e-safar
kuchh nae rishton ne har rishte ko ganda kar diya
ek kiran tasKHir-e-kul ki samt tha pahla qadam
aag ugalti aandhiyon ne hum ko andha kar diya

Ghazal
Masalon ki bhiD mein insan ko tanha kar diya
Yaqoob Yawar